shaam-e-firaaq, ab na poochh, aaii aur aake Tal gayii
dil tha ki phir bahal gaya, jaa.n thi ki phir sambhal gayii
bazm-e-khayaal mei.n tere husn ki shamaa jal gayii
dard ka chaand bujh gaya, hijr ki raat Dhal gayii
jab tujhe yaad kar liya, subah mahak mahak uThi
jab teraa Gham jagaa liya, raat machal machal gayi
dil se to har maamla karke chale the saaf ham
kahne mein unke saamne baat badal badal gayii
aakhir-e-shab ke hamsafar na jaane kya hue
rah gayii kis jagah sabaa, subah kidhar nikal gayii

کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں