Mera naseeb hoyi talkhiyaan zamane ki. - Urdu Poetry

word best urdu poetry, best no1 urdu poetry blog, sad poetry,gazals, 2 lines poetry

جمعرات، 26 مارچ، 2020

Mera naseeb hoyi talkhiyaan zamane ki.

Mera naseeb hoyi talkhiyaan zamane ki.
Kissi ne Khoob saza di hay muskurane ki.

Mere khuda mujhe tariq ka hosla ho atta.
Zaroorat Aan parrhi kishtiyaan jalaane ki.

main dekta hon har ek simt panchio ke hajoom.
Illaahi khair ho sayyaad k gharaaney ki.

qadam qadam pe salibon ke jaal phela do.
ke sarkashoon ko tu aadat hay sar uthane ki.

shareek-e-jurm na hotey tu mukhbari karte.
hamein khabar hay luteroon k har tikhane ki.

hazaar haath gareebaan tak agaye Azhar. 
abhi tu baat chali bhi na thi zamaaney ki.

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں